BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai,
Bacha hai jo tujh main mera hissa nikalna hai,
Yeh ruuh barson se dafan hai tum madad karo ge ?
Badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai,
Nazar main rakhna kahin koi ghamm-shanaas gahak,
Mujhe sukhan bechna hai, kharcha nikalna hai,
Nikaal laya hoon ek pinjre se ik parinda,
Ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai,
Yeh tees barson se kuch baras peeche chal rahi hai,
Mujhe ghaRri ka kharab purza nikalna hai,
Khayal hai khandan ko ittilaa de doon,
Jo katt gaya us shajar ka shajra nikalna hai,
Main aik kirdar se baRra tang hoon qalamkaar,
Mujhe kahani main Daal ghussa nikalna hai..
Be First to Comment